kisi se tum na kahin barhami ki baat karo
kisī se tum na kahīñ barhamī kī baat karo
jahāñ meñ jis se karo dostī kī baat karo
jalāo sham.eñ ḳhulūs-o-vafā kī duniyā meñ
har ek moḌ pe tum raushnī kī baat karo
bahār laa.e jo sab ke liye gulistāñ meñ
ravish ravish pe usī aadmī kī baat karo
taqāzā hosh-o-ḳhirad kā hai tum se dīvāno
junūñ ke daur meñ bhī āgahī kī baat karo
jo ek buuñd bhī rindoñ ko de sake na sharāb
na us ke mansab-e-sāqī-girī kī baat karo
fanā-shikār na ho jo kabhī zamāne meñ
qadam qadam pe tum us zindagī kī baat karo
tumheñ payām-e-mohabbat jo aam karnā hai
kisī se 'shād' na tum dushmanī kī baat karo
kisi se tum na kahin barhami ki baat karo
jahan mein jis se karo dosti ki baat karo
jalao shamen KHulus-o-wafa ki duniya mein
har ek moD pe tum raushni ki baat karo
bahaar lae jo sab ke liye gulistan mein
rawish rawish pe usi aadmi ki baat karo
taqaza hosh-o-KHirad ka hai tum se diwano
junun ke daur mein bhi aagahi ki baat karo
jo ek bund bhi rindon ko de sake na sharab
na us ke mansab-e-saqi-giri ki baat karo
fana-shikar na ho jo kabhi zamane mein
qadam qadam pe tum us zindagi ki baat karo
tumhein payam-e-mohabbat jo aam karna hai
kisi se 'shad' na tum dushmani ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.