kisi se unki jafaon ka tazkira na karo
kisī se un kī jafāoñ kā tazkira na karo
hazār zulm vo Dhā.eñ magar gila na karo
har ek lamha guzartā hai ik sadī jaisā
ta.alluqāt baḌhā kar judā rahā na karo
mirī hayāt ko nisbat bas ik tumhīñ se hai
tum apne saath hī rakkho mujhe judā na karo
tabāhī tum ne to ḳhud mol lī hai ahl-e-chaman
kisī se apnī tabāhī kā ab gila na karo
vo sab ke dil kī talab se haiñ bā-ḳhabar 'nayyar'
tum un kī bazm meñ iz.hār-e-mudda.ā na karo
kisi se un ki jafaon ka tazkira na karo
hazar zulm wo Dhaen magar gila na karo
har ek lamha guzarta hai ek sadi jaisa
talluqat baDha kar juda raha na karo
meri hayat ko nisbat bas ek tumhin se hai
tum apne sath hi rakkho mujhe juda na karo
tabahi tum ne to KHud mol li hai ahl-e-chaman
kisi se apni tabahi ka ab gila na karo
wo sab ke dil ki talab se hain ba-KHabar 'nayyar'
tum un ki bazm mein izhaar-e-muddaa na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.