kisi shab usko be-parda to aana chahiye tha
kisī shab us ko be-parda to aanā chāhiye thā
hamāre zarf ko bhī āzmānā chāhiye thā
ḳhayāloñ meñ na aane kī use tākīd kī hai
magar phir bhī shikāyat hai ki aanā chāhiye thā
ham āḳhir-kār shīshe meñ utar jaate kisī din
tumheñ ik aur nusḳha āzmānā chāhiye the
sabhī se dil-lagī karnā jo hai fitrat tumhārī
to ye sab kuchh tumheñ pahle batānā chāhiye thā
mujhe ummīd thī vo maan jā.egā bahut jald
magar us ko to shāyad ik zamāna chāhiye thā
tamannā thī mirī ḳhushiyoñ se bhar duuñ us kā dāman
use lekin ġhamoñ kā kār-ḳhāna chāhiye thā
bahut mushkil se bantā hai jahāñ meñ koī apnā
tumheñ har haal meñ rishta nibhānā chāhiye thā
gumāñ thā 'shād' us ko mujh se ulfat ho ga.ī hai
use rone ko lekin merā shāna chāhiye thā
kisi shab us ko be-parda to aana chahiye tha
hamare zarf ko bhi aazmana chahiye tha
KHayalon mein na aane ki use takid ki hai
magar phir bhi shikayat hai ki aana chahiye tha
hum aaKHir-kar shishe mein utar jate kisi din
tumhein ek aur nusKHa aazmana chahiye the
sabhi se dil-lagi karna jo hai fitrat tumhaari
to ye sab kuchh tumhein pahle batana chahiye tha
mujhe ummid thi wo man jaega bahut jald
magar us ko to shayad ek zamana chahiye tha
tamanna thi meri KHushiyon se bhar dun us ka daman
use lekin ghamon ka kar-KHana chahiye tha
bahut mushkil se banta hai jahan mein koi apna
tumhein har haal mein rishta nibhana chahiye tha
guman tha 'shad' us ko mujh se ulfat ho gai hai
use rone ko lekin mera shana chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.