kisi shai ko yahan sabaat nahin
kisī shai ko yahāñ sabāt nahīñ
kaun sā din hai jis kī raat nahīñ
zinda zauq-e-nazar nahīñ varna
suunī suunī ye kā.enāt nahīñ
hai kisī kā to haath parde meñ
be-muharrik ye hādsāt nahīñ
rafta rafta vo khul ga.e mujh se
darmiyāñ ab takallufāt nahīñ
ab jo apnoñ ko maiñ kahūñ dushman
ye burā mānñe kī baat nahīñ
ek hī samt hai mirā qibla
mujh ko ehsās-e-shash-jihāt nahīñ
zindagānī hai qaid-e-ġham 'fārūq'
is se mumkin magar najāt nahīñ
kisi shai ko yahan sabaat nahin
kaun sa din hai jis ki raat nahin
zinda zauq-e-nazar nahin warna
suni suni ye kaenat nahin
hai kisi ka to hath parde mein
be-muharrik ye hadsat nahin
rafta rafta wo khul gae mujh se
darmiyan ab takallufat nahin
ab jo apnon ko main kahun dushman
ye bura manne ki baat nahin
ek hi samt hai mera qibla
mujh ko ehsas-e-shash-jihat nahin
zindagani hai qaid-e-gham 'faruq'
is se mumkin magar najat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.