kisi sukhe hue shajar sa hun
kisī sūkhe hue shajar sā huuñ
ek lamhe meñ umr bhar sā huuñ
tum hañso aur muskurā.ūñ maiñ
shams tum ho to maiñ qamar sā huuñ
koī mujh meñ nazar nahīñ aatā
ek vīrān rahguzar sā huuñ
vaqt ik jhiil sā huā mujh meñ
koī Thahrā huā sā arsa huuñ
tujhmeñ kitnī namī chalī aa.ī
jab se terī zamīñ pe barsā huuñ
tum mirī zindagī ke mālik 'arsh'
aur maiñ zindagī ko tarsā huuñ
kisi sukhe hue shajar sa hun
ek lamhe mein umr bhar sa hun
tum hanso aur muskuraun main
shams tum ho to main qamar sa hun
koi mujh mein nazar nahin aata
ek viran rahguzar sa hun
waqt ek jhil sa hua mujh mein
koi Thahra hua sa arsa hun
tujhmen kitni nami chali aai
jab se teri zamin pe barsa hun
tum meri zindagi ke malik 'arsh'
aur main zindagi ko tarsa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.