kisi suraj se hum ko ram nahin hai
kisi suraj se hum ko ram nahin hai
Mohammad Ishaq Afsar Afaqi
MORE BYMohammad Ishaq Afsar Afaqi
kisī sūraj se ham ko ram nahīñ hai
hamārī zindagī shabnam nahīñ hai
sarishk-e-ġham kī hasrat chhoḌ ġhunche
ye koī qatra-e-shabnam nahīñ hai
salāmat nashtar-e-ġham kī siyāsat
mirā dil ḳhūgar-e-mātam nahīñ hai
jarāhat-ḳhez ye rang-e-tamannā
ye ik nashtar to hai marham nahīñ hai
gulo jabran hañso pī jaao aañsū
ye gulshan hai saf-e-mātam nahīñ hai
talavvun aur phir dast-e-junūñ kā
koī ta.amīr mustahkam nahīñ hai
tumhārā ġham bahar-sūrat hai pyārā
hameñ ehsās-e-besh-o-kam nahīñ hai
mire zaḳhm-e-jigar nāsūr ban jā
tirī taqdīr kā marham nahīñ hai
nizām-e-aql kī taqdīr 'afsar'
mizāj-e-dil abhī barham nahīñ hai
kisi suraj se hum ko ram nahin hai
hamari zindagi shabnam nahin hai
sarishk-e-gham ki hasrat chhoD ghunche
ye koi qatra-e-shabnam nahin hai
salamat nashtar-e-gham ki siyasat
mera dil KHugar-e-matam nahin hai
jarahat-KHez ye rang-e-tamanna
ye ek nashtar to hai marham nahin hai
gulo jabran hanso pi jao aansu
ye gulshan hai saf-e-matam nahin hai
talawwun aur phir dast-e-junun ka
koi tamir mustahkam nahin hai
tumhaara gham bahar-surat hai pyara
hamein ehsas-e-besh-o-kam nahin hai
mere zaKHm-e-jigar nasur ban ja
teri taqdir ka marham nahin hai
nizam-e-aql ki taqdir 'afsar'
mizaj-e-dil abhi barham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.