kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti
kisī sūrat adū kī tark-e-ulfat ho nahīñ saktī
hamāre haal par terī ināyat ho nahīñ saktī
kabhī tere sivā dil dūsre par aa nahīñ saktā
kisī par ab mirī maa.il tabī.at ho nahīñ saktī
banī hai mohr-e-lab paiham mohabbat us sitamgar kī
bayāñ ab dāstān-e-dard-e-furqat ho nahīñ saktī
ilāhī merā dil us sañg-dil kā dil to ban jaa.e
mirī taqdīr gar dushman kī qismat ho nahīñ saktī
ye ho saktā hai duniyā bhar ko chhoḌūñ terī ḳhātir se
raqīb-e-rū-siyah kī mujh se minnat ho nahīñ saktī
tasavvur meñ bhī tum bār-e-nazākat se nahīñ aate
tumhāre vasl kī ab koī sūrat ho nahīñ saktī
ḳhudā kī shaan hai ishq-e-adū meñ rote phirte haiñ
jo kahte the kabhī tāsīr-e-ulfat ho nahīñ saktī
ghulāyā zo.af ne aisā firāq-e-yār meñ mujh ko
tasavvur meñ bhī qaa.em merī sūrat ho nahīñ saktī
hijāb aatā hai tujh ko dushman-e-mehr-o-vafā kahte
kisī parde meñ ab terī shikāyat ho nahīñ saktī
'faroġh'-e-nayyar-e-taqdīr zau-baḳhsh-e-tamannā hai
shab-e-vasl-e-sitamgar shām-e-furqat ho nahīñ saktī
kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti
hamare haal par teri inayat ho nahin sakti
kabhi tere siwa dil dusre par aa nahin sakta
kisi par ab meri mail tabiat ho nahin sakti
bani hai mohr-e-lab paiham mohabbat us sitamgar ki
bayan ab dastan-e-dard-e-furqat ho nahin sakti
ilahi mera dil us sang-dil ka dil to ban jae
meri taqdir gar dushman ki qismat ho nahin sakti
ye ho sakta hai duniya bhar ko chhoDun teri KHatir se
raqib-e-ru-siyah ki mujh se minnat ho nahin sakti
tasawwur mein bhi tum bar-e-nazakat se nahin aate
tumhaare wasl ki ab koi surat ho nahin sakti
KHuda ki shan hai ishq-e-adu mein rote phirte hain
jo kahte the kabhi tasir-e-ulfat ho nahin sakti
ghulaya zoaf ne aisa firaq-e-yar mein mujh ko
tasawwur mein bhi qaem meri surat ho nahin sakti
hijab aata hai tujh ko dushman-e-mehr-o-wafa kahte
kisi parde mein ab teri shikayat ho nahin sakti
'farogh'-e-nayyar-e-taqdir zau-baKHsh-e-tamanna hai
shab-e-wasl-e-sitamgar sham-e-furqat ho nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.