kisi surat bhi baatil ki taraf-dari nahin karna
kisī sūrat bhī bātil kī taraf-dārī nahīñ karnā
munāfiq kī tarah hargiz adākārī nahīñ karnā
vatan ke jāñ-nisāroñ ne diyā hai dars ye ham ko
kabhī apne vatan ke saath ġhaddārī nahīñ karnā
ye andhī shohrateñ ik din tumheñ be-nām kar deñgī
kabhī tum bhuul kar dhoka riyā-kārī nahīñ karnā
miyāñ vo maal jis meñ bekasoñ kī aah shāmil ho
tum aisī chiiz se hargiz bhī iftārī nahīñ karnā
agarche tum ho 'rahbar' qaum ke to dhyān ye rakhnā
vafā-dārī pe qaa.em rahnā ayyārī nahīñ karnā
kisi surat bhi baatil ki taraf-dari nahin karna
munafiq ki tarah hargiz adakari nahin karna
watan ke jaan-nisaron ne diya hai dars ye hum ko
kabhi apne watan ke sath ghaddari nahin karna
ye andhi shohraten ek din tumhein be-nam kar dengi
kabhi tum bhul kar dhoka riya-kari nahin karna
miyan wo mal jis mein bekason ki aah shamil ho
tum aisi chiz se hargiz bhi iftari nahin karna
agarche tum ho 'rahbar' qaum ke to dhyan ye rakhna
wafa-dari pe qaem rahna ayyari nahin karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.