kisi surat kisi pahlu sukun-e-dil nahin milta
kisī sūrat kisī pahlū sukūn-e-dil nahīñ miltā
kahāñ DhūñDeñ vo jān-e-raunaq-e-mahfil nahīñ miltā
aqīdat hai mohabbat hai baḌī qurbat bhī hai lekin
ḳhudā jaane ki kyoñ mujh se tumhārā dil nahīñ miltā
maiñ vāqif huuñ dil-e-bismil ki terā mudda.ā kyā hai
pareshāñ haiñ nigāheñ kūcha-e-qātil nahīñ miltā
mizāj-e-yār kī sūrat zamāna ruḳh badaltā hai
kabhī maazī se merā hāl-o-mustaqbil nahīñ miltā
ye duniyā dil-rubā bhī hai ye duniyā bevafā bhī hai
yahāñ har chiiz miltī hai sukūn-e-dil nahīñ miltā
yahāñ āsāñ nahīñ jiinā yahāñ marnā bhī mushkil hai
mohabbat meñ kisī ko mudda.ā-e-dil nahīñ miltā
zamāna thā inhī maujoñ pe merī hukmrānī thī
huā ye haal kashtī ko bhī ab sāhil nahīñ miltā
sitāroñ do ghaḌī ke vāste āñkheñ hameñ de do
zamīñ kā ye ajūba hai mah-e-kāmil nahīñ miltā
jise vo mil gayā ho jis kā vo tālib thā duniyā meñ
'nazīr' aisā koī DhūñDe se bhī saa.il nahīñ miltā
kisi surat kisi pahlu sukun-e-dil nahin milta
kahan DhunDen wo jaan-e-raunaq-e-mahfil nahin milta
aqidat hai mohabbat hai baDi qurbat bhi hai lekin
KHuda jaane ki kyon mujh se tumhaara dil nahin milta
main waqif hun dil-e-bismil ki tera muddaa kya hai
pareshan hain nigahen kucha-e-qatil nahin milta
mizaj-e-yar ki surat zamana ruKH badalta hai
kabhi mazi se mera haal-o-mustaqbil nahin milta
ye duniya dil-ruba bhi hai ye duniya bewafa bhi hai
yahan har chiz milti hai sukun-e-dil nahin milta
yahan aasan nahin jina yahan marna bhi mushkil hai
mohabbat mein kisi ko muddaa-e-dil nahin milta
zamana tha inhi maujon pe meri hukmrani thi
hua ye haal kashti ko bhi ab sahil nahin milta
sitaron do ghaDi ke waste aankhen hamein de do
zamin ka ye ajuba hai mah-e-kaamil nahin milta
jise wo mil gaya ho jis ka wo talib tha duniya mein
'nazir' aisa koi DhunDe se bhi sail nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.