kisi surat se ho ab un se sharh-e-arzu hogi

kisi surat se ho ab un se sharh-e-arzu hogi
Digamber Parshad Gauhar Dehlvi
MORE BYDigamber Parshad Gauhar Dehlvi
kisī sūrat se ho ab un se sharh-e-ārzū hogī
zabāñ ḳhāmosh hogī to nazar se guftugū hogī
kisī ko aaj tak dair-o-haram meñ DhūñDhne vaale
kahāñ tak aur tauhīn-e-mazāq-e-justujū hogī
ma.āl-e-ārzū ke hairatī kyā tū samajhtā thā
shikast-e-ārzū shāyad ba-qadr-e-ārzū hogī
koī kah de ye tahzīb-e-navī ke ḳhaam rahbar se
haqīqat chhuptī jā.egī jahāñ tak justujū hogī
parakh leñ imtihāñ kar leñ ki ye 'gauhar' kī 'izzat hai
ziyāda chashm-e-shāh-o-jauharī meñ aabrū hogī
kisi surat se ho ab un se sharh-e-arzu hogi
zaban KHamosh hogi to nazar se guftugu hogi
kisi ko aaj tak dair-o-haram mein DhunDhne wale
kahan tak aur tauhin-e-mazaq-e-justuju hogi
maal-e-arzu ke hairati kya tu samajhta tha
shikast-e-arzu shayad ba-qadr-e-arzu hogi
koi kah de ye tahzib-e-nawi ke KHam rahbar se
haqiqat chhupti jaegi jahan tak justuju hogi
parakh len imtihan kar len ki ye 'gauhar' ki 'izzat hai
ziyaada chashm-e-shah-o-jauhari mein aabru hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.