kisī sūrat se ho jaatā hai sāmān-e-safar paidā
irāda kar hī letā hai ḳhud apnī rahguzar paidā
gunahgārī kī niyyat ko gunahgārī nahīñ kahte
safar ke qasd se hotī hai kab gard-e-safar paidā
zarūrī kyā ki barse aag uupar se nasheman par
ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ ho jā.eñge barq-o-sharar paidā
koī pursān-e-ġham ho yā na ho kyā farq paḌtā hai
aziyyat ḳhud hī kar letī hai apnā chāragar paidā
'munavvar' mujh pe shām-e-yās ġhālib aa nahīñ saktī
ki har ummīd se hotā hai ik rang-e-sahar paidā
kisi surat se ho jata hai saman-e-safar paida
irada kar hi leta hai KHud apni rahguzar paida
gunahgari ki niyyat ko gunahgari nahin kahte
safar ke qasd se hoti hai kab gard-e-safar paida
zaruri kya ki barse aag upar se nasheman par
KHas-o-KHashak hain ho jaenge barq-o-sharar paida
koi pursan-e-gham ho ya na ho kya farq paDta hai
aziyyat KHud hi kar leti hai apna chaaragar paida
'munawwar' mujh pe sham-e-yas ghaalib aa nahin sakti
ki har ummid se hota hai ek rang-e-sahar paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.