kisi tarik goshe mein basar hogi hamari
Interesting Fact
Vol 132, March- May 1984
kisī tārīk goshe meñ basar hogī hamārī
mahal meñ tujh ko pal pal kī ḳhabar hogī hamārī
ajab ik sehr hogā jaan denī bebasī meñ
farishtoñ kī tasallī chāragar hogī hamārī
shuāoñ kī savārī nuur kī raftār hogī
magar ik ḳhāk-zādī ham-safar hogī hamārī
jahānoñ ke safar haiñ aur sitāroñ se sanad hai
ġhazal meñ har rivāyat mo'atabar hogī hamārī
chhupe hoñge zamīñ-tā-āsmāñ us meñ tilismāt
ba-zāhir go hikāyat muḳhtasar hogī hamārī
kisi tarik goshe mein basar hogi hamari
mahal mein tujh ko pal pal ki KHabar hogi hamari
ajab ek sehr hoga jaan deni bebasi mein
farishton ki tasalli chaaragar hogi hamari
shuaon ki sawari nur ki raftar hogi
magar ek KHak-zadi ham-safar hogi hamari
jahanon ke safar hain aur sitaron se sanad hai
ghazal mein har riwayat mo'atabar hogi hamari
chhupe honge zamin-ta-asman us mein tilismat
ba-zahir go hikayat muKHtasar hogi hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.