kisi taraf jaane ka rasta kahin nahin
kisī taraf jaane kā rasta kahīñ nahīñ
aisā ghor añdherā dekhā kahīñ nahīñ
kis zālim ne par peḌoñ ke kaaT diye
aag ugaltī dhuup meñ saaya kahīñ nahīñ
tishna ruuh kī pyaas bujhāne pahuñche the
dariyā meñ bhī paanī paayā kahīñ nahīñ
kāñch kī sūrat saare sapne TuuT ga.e
chham se barasne bādal aayā kahīñ nahīñ
mahfil mahfil 'az.har' umr guzārī hai
ham sā lekin tanhā tanhā kahīñ nahīñ
kisi taraf jaane ka rasta kahin nahin
aisa ghor andhera dekha kahin nahin
kis zalim ne par peDon ke kaT diye
aag ugalti dhup mein saya kahin nahin
tishna ruh ki pyas bujhane pahunche the
dariya mein bhi pani paya kahin nahin
kanch ki surat sare sapne TuT gae
chham se barasne baadal aaya kahin nahin
mahfil mahfil 'azhar' umr guzari hai
hum sa lekin tanha tanha kahin nahin
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 305)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.