kisi tarah bhi jo is reg-zar-e-hasti par
kisī tarah bhī jo is reg-zār-e-hastī par
ubhar sakā jo na puurā vo naqsh-e-pā huuñ maiñ
jo har taraf se havāoñ kī Thokareñ khaa.e
dar-e-qubūl kī rad-karda vo duā huuñ maiñ
na hausloñ meñ tamavvuj na valvaloñ meñ ḳharosh
isī kā naam hai jiinā to jī rahā huuñ maiñ
vafā pe tanz hai āvārgī-e-shauq nahīñ
har āstāñ pe jo sajde bikhertā huuñ maiñ
badal sakī jise ab tak na be-ruḳhī terī
vahī vafā kā satāyā huā 'razā' huuñ maiñ
kisi tarah bhi jo is reg-zar-e-hasti par
ubhar saka jo na pura wo naqsh-e-pa hun main
jo har taraf se hawaon ki Thokaren khae
dar-e-qubul ki rad-karda wo dua hun main
na hauslon mein tamawwuj na walwalon mein KHarosh
isi ka nam hai jina to ji raha hun main
wafa pe tanz hai aawargi-e-shauq nahin
har aastan pe jo sajde bikherta hun main
badal saki jise ab tak na be-ruKHi teri
wahi wafa ka sataya hua 'raza' hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.