kisi tarah sambhal nahin raha hun main
kisī tarah sambhal nahīñ rahā huuñ maiñ
ki bah rahā huuñ chal nahīñ rahā huuñ maiñ
gale lagā ai mausamoñ ke devtā
badal mujhe badal nahīñ rahā huuñ maiñ
ye sukh bhī hai ki tere tāqche meñ huuñ
ye dukh bhī hai ki jal nahīñ rahā huuñ maiñ
savāl pūchhne lage haiñ rāste
safar pe kyuuñ nikal nahīñ rahā huuñ maiñ
tulūa ho rahā huuñ dūsrī taraf
udaas mat ho Dhal nahīñ rahā huuñ maiñ
kisi tarah sambhal nahin raha hun main
ki bah raha hun chal nahin raha hun main
gale laga ai mausamon ke dewta
badal mujhe badal nahin raha hun main
ye sukh bhi hai ki tere taqche mein hun
ye dukh bhi hai ki jal nahin raha hun main
sawal puchhne lage hain raste
safar pe kyun nikal nahin raha hun main
tulua ho raha hun dusri taraf
udas mat ho Dhal nahin raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.