kisi wahshat mein phir aabaad hona chahta hun
kisī vahshat meñ phir ābād honā chāhtā huuñ
maiñ us kī qaid se āzād honā chāhtā huuñ
purānī shakl sūrat gar malāmat ban ga.ī hai
na.ī miTTī se phir ījād honā chāhtā huuñ
kisī ke hijr meñ hairat-kade ābād dekhūñ
kisī ke vasl meñ barbād honā chāhtā huuñ
use bhī apnī bāñhoñ meñ taḌaptā dekhnā hai
maiñ us kā said thā sayyād honā chāhtā huuñ
usī ḳhushbū se phir ham-ḳhvāb hone kī havas hai
usī ḳhush-vasl se dil-shād honā chāhtā huuñ
ab apnī zaat ke zindāñ meñ bhī dam ghuT rahā hai
koī dam ḳhud se bhī āzād honā chāhtā huuñ
kisi wahshat mein phir aabaad hona chahta hun
main us ki qaid se aazad hona chahta hun
purani shakl surat gar malamat ban gai hai
nai miTTi se phir ijad hona chahta hun
kisi ke hijr mein hairat-kade aabaad dekhun
kisi ke wasl mein barbaad hona chahta hun
use bhi apni banhon mein taDapta dekhna hai
main us ka said tha sayyaad hona chahta hun
usi KHushbu se phir ham-KHwab hone ki hawas hai
usi KHush-wasl se dil-shad hona chahta hun
ab apni zat ke zindan mein bhi dam ghuT raha hai
koi dam KHud se bhi aazad hona chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.