kitab-e-ishq ka ek bab likh diya maine
kitāb-e-ishq kā ik baab likh diyā maiñ ne
zamīñ sarāb falak ḳhvāb likh diyā maiñ ne
hamārī nazroñ se jām-e-sifāl jab guzrā
pas-e-duā use nāyāb likh diyā maiñ ne
sukūt-e-āb ko us ne sukūt-e-āb likhā
sukūt-e-āb ko girdāb likh diyā maiñ ne
vo koī jabr thā yā jabr se farār mirā
ruḳh-e-muhīb ko mahtāb likh diyā maiñ ne
ki raushnī kī na thī taab chashm-e-tābāñ ko
siyāhiyoñ ko tab-o-tāb likh diyā maiñ ne
vo be-ḳhudī kā thā aalam ki vajd kī sūrat
jo āb-e-sāda mai-e-nāb likh diyā maiñ ne
tapīda shām-o-sahar the tapīda jism-o-jigar
tapīda jaan pe jab aab likh diyā maiñ ne
tumhārī sho.ala-bayānī kā zikr thā har-sū
tumhāre sho.ale pe ġharqāb likh diyā maiñ ne
salām band kiyā us ne phir kalām bhī band
so us ko āḳhirī ādāb likh diyā maiñ ne
kitab-e-ishq ka ek bab likh diya main ne
zamin sarab falak KHwab likh diya main ne
hamari nazron se jam-e-sifal jab guzra
pas-e-dua use nayab likh diya main ne
sukut-e-ab ko us ne sukut-e-ab likha
sukut-e-ab ko girdab likh diya main ne
wo koi jabr tha ya jabr se farar mera
ruKH-e-muhib ko mahtab likh diya main ne
ki raushni ki na thi tab chashm-e-taban ko
siyahiyon ko tab-o-tab likh diya main ne
wo be-KHudi ka tha aalam ki wajd ki surat
jo aab-e-sada mai-e-nab likh diya main ne
tapida sham-o-sahar the tapida jism-o-jigar
tapida jaan pe jab aab likh diya main ne
tumhaari shoala-bayani ka zikr tha har-su
tumhaare shoale pe gharqab likh diya main ne
salam band kiya us ne phir kalam bhi band
so us ko aaKHiri aadab likh diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.