kitab-e-ishq mein sara bayan visal ka hai
kitāb-e-ishq meñ saarā bayāñ visāl kā hai
maiñ zinda hijr meñ huuñ aur gumāñ visāl kā hai
ham aise farq-e-ta.alluq se ḳhud bhī hairāñ haiñ
zamīñ hai hijr kī aur āsmāñ visāl kā hai
ajab tazād ke pesh-e-nazar huuñ hastī meñ
hai dhuup hijr kī aur sā.ebāñ visāl kā hai
hai jāgne pe hī paḌtā tamām chābuk-e-hijr
hoñ āñkheñ band to saarā samāñ visāl kā hai
chalo ye hijr sahī kuchh to dastaras meñ rahe
jo vaqt aatā hai vo bhī kahāñ visāl kā hai
ġharaz se chup haiñ magar ahl-e-dil samajhte haiñ
ki lafz-e-hijr se raushan-bayāñ visāl kā hai
kashīd karte haiñ irfān apne hijr se 'tūr'
ye ḳhitta chhoḌ ke saarā jahāñ visāl kā hai
kitab-e-ishq mein sara bayan visal ka hai
main zinda hijr mein hun aur guman visal ka hai
hum aise farq-e-talluq se KHud bhi hairan hain
zamin hai hijr ki aur aasman visal ka hai
ajab tazad ke pesh-e-nazar hun hasti mein
hai dhup hijr ki aur saeban visal ka hai
hai jagne pe hi paDta tamam chabuk-e-hijr
hon aankhen band to sara saman visal ka hai
chalo ye hijr sahi kuchh to dastaras mein rahe
jo waqt aata hai wo bhi kahan visal ka hai
gharaz se chup hain magar ahl-e-dil samajhte hain
ki lafz-e-hijr se raushan-bayan visal ka hai
kashid karte hain irfan apne hijr se 'tur'
ye KHitta chhoD ke sara jahan visal ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.