kitab-e-mohabbat hai KHwahish gazida
kitāb-e-mohabbat hai ḳhvāhish gazīda
varaq zindagī ke darīda darīda
mirī dāstāñ lafz lafz ātishīñ hai
fasāna fasāna tapīda tapīda
yahāñ lamha lamha baḌā sang-dil hai
ruteñ rāhatoñ kī kashīda kashīda
kahīñ chehra chehra hai tasvīr-e-hairat
kahīñ shahr hai naqsh naqsh ābdīda
makāñ haiñ ki jangal ke saa.e sarāsar
makīñ haiñ ki aahū ramīda ramīda
ye kyā alamiya hai ki Iqlīm-e-fan meñ
girohoñ kī chhab hai jarīda jarīda
tirā ruup merī ġhazal se amar hai
ki taḳhlīq hotī nahīñ sin-rasīda
yahī ek ḳhūbī yahī ek ḳhāmī
na maiñ ne kahā shān-e-shah meñ qasīda
yaqīnan havā hī meñ nashtar haiñ 'shāhid'
ki har shāḳh-e-gulshan hui ḳhūñ-chakīdā
kitab-e-mohabbat hai KHwahish gazida
waraq zindagi ke darida darida
meri dastan lafz lafz aatishin hai
fasana fasana tapida tapida
yahan lamha lamha baDa sang-dil hai
ruten rahaton ki kashida kashida
kahin chehra chehra hai taswir-e-hairat
kahin shahr hai naqsh naqsh aabdida
makan hain ki jangal ke sae sarasar
makin hain ki aahu ramida ramida
ye kya alamiya hai ki Iqlim-e-fan mein
girohon ki chhab hai jarida jarida
tera rup meri ghazal se amar hai
ki taKHliq hoti nahin sin-rasida
yahi ek KHubi yahi ek KHami
na main ne kaha shan-e-shah mein qasida
yaqinan hawa hi mein nashtar hain 'shahid'
ki har shaKH-e-gulshan hui KHun-chakida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.