kitab-e-shauq mein in band bab aankhon ko
kitāb-e-shauq meñ in band baab āñkhoñ ko
na sahl jaan mirī jaan ḳhvāb āñkhoñ ko
maiñ ab bhī paḌhtā huuñ taz.īn-e-sher-o-fan ke liye
tamām raat tirī ḳhush-nisāb āñkhoñ ko
qalam amānat-e-haq thā so likh diyā maiñ ne
shagufta lams laboñ ko sharāb āñkhoñ ko
ye fāsloñ kī haqīqat ye qurbatoñ kā tilism
azaab haiñ ye ta.alluq ke ḳhvāb āñkhoñ ko
ḳhamoshiyoñ kī bhī apnī zabān hotī hai
ki mil hī jaatā hai 'āsim' javāb āñkhoñ ko
kitab-e-shauq mein in band bab aankhon ko
na sahl jaan meri jaan KHwab aankhon ko
main ab bhi paDhta hun tazin-e-sher-o-fan ke liye
tamam raat teri KHush-nisab aankhon ko
qalam amanat-e-haq tha so likh diya main ne
shagufta lams labon ko sharab aankhon ko
ye faslon ki haqiqat ye qurbaton ka tilism
azab hain ye talluq ke KHwab aankhon ko
KHamoshiyon ki bhi apni zaban hoti hai
ki mil hi jata hai 'asim' jawab aankhon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.