kitab-e-waqt mein sachchi ibarat main likhunga
kitāb-e-vaqt meñ sachchī ibārat maiñ likhūñgā
munāfiq jo nahīñ likhte haiñ 'shaukat' maiñ likhūñgā
charāġh-o-ā.ina se kaam lūñgā satr-dar-satr
na.e andāz se injīl-e-hairat maiñ likhūñgā
musāfir shaam kā huuñ ai mirī sub.h-e-madīna
lahū aur ashk se apnī hikāyat maiñ likhūñgā
ḳhudā ne ye sa.ādat merī qismat meñ likhī hai
ġhazal sehrā sar-e-kū-e-malāmat maiñ likhūñgā
ḳhudāvandā ba-nām-e-ādmiyyat ik khulā ḳhat
khulā ḳhat ik ba-nām-e-ādmiyyat maiñ likhūñgā
junūbī asia ke sabz mustaqbil kī ḳhātir
na.ī nasloñ kā ailān-e-mohabbat maiñ likhūñgā
amīr-e-shahr maiñ shā.ir huuñ darbārī nahīñ huuñ
tujhe kis ne kahā terī fazīlat maiñ likhūñgā
ġhazal ke ahd-nāma meñ na.ī satr-e-bashārat
mohabbat kī na.ī satr-e-bashārat maiñ likhūñgā
mirā maslak sanā-e-ādmī karnā hai 'shaukat'
sanā-e-ādmī merī ibādat maiñ likhūñgā
kitab-e-waqt mein sachchi ibarat main likhunga
munafiq jo nahin likhte hain 'shaukat' main likhunga
charagh-o-aina se kaam lunga satr-dar-satr
nae andaz se injil-e-hairat main likhunga
musafir sham ka hun ai meri subh-e-madina
lahu aur ashk se apni hikayat main likhunga
KHuda ne ye saadat meri qismat mein likhi hai
ghazal sehra sar-e-ku-e-malamat main likhunga
KHudawanda ba-nam-e-admiyyat ek khula KHat
khula KHat ek ba-nam-e-admiyyat main likhunga
junubi asia ke sabz mustaqbil ki KHatir
nai naslon ka ailan-e-mohabbat main likhunga
amir-e-shahr main shair hun darbari nahin hun
tujhe kis ne kaha teri fazilat main likhunga
ghazal ke ahd-nama mein nai satr-e-bashaarat
mohabbat ki nai satr-e-bashaarat main likhunga
mera maslak sana-e-admi karna hai 'shaukat'
sana-e-admi meri ibaadat main likhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.