kitab-e-zist mein aisa koi bhi bab nahin
kitāb-e-zīst meñ aisā koī bhī baab nahīñ
tumhāre 'ishq kā jis par likhā hisāb nahīñ
sharāb-ḳhāne meñ do buuñd bhī sharāb nahīñ
hamāre vāste is se baḌā 'azāb nahīñ
huī ye zindagī tārīk raat ke mānind
tū māhtāb nahīñ maiñ bhī āftāb nahīñ
na.ī hayāt meñ Dhalnā paḌegā ab is ko
ye zindagī to mohabbat meñ kāmyāb nahīñ
tū apnī āñkhoñ kā chashma badal ke dekh mujhe
jahān jitnā hai itnā to maiñ ḳharāb nahīñ
hameñ bhī tark-e-ta'alluq kā ḳhaak ho afsos
bichhaḌ ke ham se tumheñ bhī to iztirāb nahīñ
ye mai-kada hai yahāñ hai har ek shaḳhs qubūl
koī sharīf nahīñ hai koī ḳharāb nahīñ
ḳhizāñ ne kaun sī tartīb se kiyā barbād
kisī bhī shāḳh pe gulshan meñ ik gulāb nahīñ
kitab-e-zist mein aisa koi bhi bab nahin
tumhaare 'ishq ka jis par likha hisab nahin
sharab-KHane mein do bund bhi sharab nahin
hamare waste is se baDa 'azab nahin
hui ye zindagi tarik raat ke manind
tu mahtab nahin main bhi aaftab nahin
nai hayat mein Dhalna paDega ab is ko
ye zindagi to mohabbat mein kaamyab nahin
tu apni aankhon ka chashma badal ke dekh mujhe
jahan jitna hai itna to main KHarab nahin
hamein bhi tark-e-ta'alluq ka KHak ho afsos
bichhaD ke hum se tumhein bhi to iztirab nahin
ye mai-kada hai yahan hai har ek shaKHs qubul
koi sharif nahin hai koi KHarab nahin
KHizan ne kaun si tartib se kiya barbaad
kisi bhi shaKH pe gulshan mein ek gulab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.