kitab-e-zindagi ho khulte rahna
kitāb-e-zindagī ho khulte rahnā
sabhī logoñ se milte julte rahnā
chamaktī dhuup kā ye jism le kar
siyah rātoñ meñ yuuñ hī ghulte rahnā
mohabbat kī hai jo sahrāoñ se to
musalsal ḳhaak meñ phir rulte rahnā
pata chaltā rahe ehsās kā bojh
sadā mīzān-e-ġham par tulte rahnā
kisī bhī 'aks kā dhabba na aa.e
hamesha āñsuoñ se dhulte rahnā
kitab-e-zindagi ho khulte rahna
sabhi logon se milte julte rahna
chamakti dhup ka ye jism le kar
siyah raaton mein yun hi ghulte rahna
mohabbat ki hai jo sahraon se to
musalsal KHak mein phir rulte rahna
pata chalta rahe ehsas ka bojh
sada mizan-e-gham par tulte rahna
kisi bhi 'aks ka dhabba na aae
hamesha aansuon se dhulte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.