kitab-e-zindagi ka har warq unwan rakhta hai
kitāb-e-zindagī kā har varq unvān rakhtā hai
hamāre sāmne jaise ḳhudā farmān rakhtā hai
bachā kar dāman-e-īmāñ ravāñ ho jānib-e-manzil
ye bāzār-e-jahāñ to hashr kā sāmān rakhtā hai
ghaTāoñ ne muqayyad kar liyā sūraj kī kirnoñ ko
yā ye sūraj ridā-e-maslahat ḳhud taan rakhtā hai
jabīn-e-shauq pe mard-e-qalandar kī shikan kyoñ ho
use kyā ġham ki jis ko dost ḳhud rahmān rakhtā hai
masāfat chañd mīloñ kī thakā detī hai jismoñ ko
mile manzil use jo hausla har aan rakhtā hai
vahī jis kā ki nashtar bhī yahāñ bas misl-e-ḳhanjar hai
use shikva hai kyoñ nashtar agar īrān rakhtā hai
kitab-e-zindagi ka har warq unwan rakhta hai
hamare samne jaise KHuda farman rakhta hai
bacha kar daman-e-iman rawan ho jaanib-e-manzil
ye bazar-e-jahan to hashr ka saman rakhta hai
ghaTaon ne muqayyad kar liya suraj ki kirnon ko
ya ye suraj rida-e-maslahat KHud tan rakhta hai
jabin-e-shauq pe mard-e-qalandar ki shikan kyon ho
use kya gham ki jis ko dost KHud rahman rakhta hai
masafat chand milon ki thaka deti hai jismon ko
mile manzil use jo hausla har aan rakhta hai
wahi jis ka ki nashtar bhi yahan bas misl-e-KHanjar hai
use shikwa hai kyon nashtar agar iran rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.