kitab kaun si hai aur kis zaban mein hai
kitāb kaun sī hai aur kis zabān meñ hai
sunā hai zikr hamārā bhī dāstān meñ hai
usī ne dhuup meñ chalne kī jiit lī baazī
vo ek shaḳhs jo muddat se sā.ebān meñ hai
zamīñ ko jo bhī ugānā hai vo ugā.egī
mujhe pata hai mirā rizq āsmān meñ hai
vo lauT aa.e to apnī bhī kuchh ḳhabar dūñgā
mire lahū kā parinda abhī uḌaan meñ hai
use bhī chhoḌ ki ab hausla nahīñ baaqī
vo ek tiir jo ab tak tirī kamān meñ hai
yahīñ kahīñ na kahīñ hai 'shamīm'-fārūqī
agar yaqīñ meñ nahīñ hai to phir gumān meñ hai
kitab kaun si hai aur kis zaban mein hai
suna hai zikr hamara bhi dastan mein hai
usi ne dhup mein chalne ki jit li bazi
wo ek shaKHs jo muddat se saeban mein hai
zamin ko jo bhi ugana hai wo ugaegi
mujhe pata hai mera rizq aasman mein hai
wo lauT aae to apni bhi kuchh KHabar dunga
mere lahu ka parinda abhi uDan mein hai
use bhi chhoD ki ab hausla nahin baqi
wo ek tir jo ab tak teri kaman mein hai
yahin kahin na kahin hai 'shamim'-faruqi
agar yaqin mein nahin hai to phir guman mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.