kitaben meri sari jal rahi thin KHwab kaisa tha
kitābeñ merī saarī jal rahī thiiñ ḳhvāb kaisā thā
savā neze pe sūraj thā to phir mahtāb kaisā thā
savād-e-shab ridā-e-tīrgī kī vus.ateñ oḌhe
bhaTaktā phir rahā thā kirmak-e-shab-tāb kaisā thā
shanāvar maiñ bhī thā bhūke nahangoñ ke samundar meñ
mire atrāf lekin ḳhuun kā girdāb kaisā thā
maiñ apnī zindagī ko lamha lamha khoj bhī letā
magar vo qatra qatra pyaas kā zahrāb kaisā thā
vo nas nas meñ samā kar bhī gurezāñ mujh se kyūñkar thā
vo merā ho gayā thā aur phir nāyāb kaisā thā
'matīn-iqbāl’ itnī baat tum ne bhī nahīñ samjhī
mohabbat kā vo dariyā is qadar pāyāb kaisā thā
kitaben meri sari jal rahi thin KHwab kaisa tha
sawa neze pe suraj tha to phir mahtab kaisa tha
sawad-e-shab rida-e-tirgi ki wusaten oDhe
bhaTakta phir raha tha kirmak-e-shab-tab kaisa tha
shanawar main bhi tha bhuke nahangon ke samundar mein
mere atraf lekin KHun ka girdab kaisa tha
main apni zindagi ko lamha lamha khoj bhi leta
magar wo qatra qatra pyas ka zahrab kaisa tha
wo nas nas mein sama kar bhi gurezan mujh se kyunkar tha
wo mera ho gaya tha aur phir nayab kaisa tha
'matin-iqbaal’ itni baat tum ne bhi nahin samjhi
mohabbat ka wo dariya is qadar payab kaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.