kitna aage nikal gaya hun main
kitnā aage nikal gayā huuñ maiñ
ġham ke sāñche meñ Dhal gayā huuñ maiñ
jal rahā thā makān us kā magar
maiñ ye samjhā ki jal gayā huuñ maiñ
aap apne pe paḌ ga.ī jo nazar
ḳhud hī hañs kar bahal gayā huuñ maiñ
vo ki mahloñ meñ be-qarār rahā
dasht-o-sahrā meñ pal gayā huuñ maiñ
chalte chalte vafā kī rāhoñ meñ
girte girte sañbhal gayā huuñ maiñ
garmī-e-zīst jab baḌhī 'saifī'
barf jaisā pighal gayā huuñ maiñ
ḳhāk-pā-e-rasūl ai 'saifī'
apnī āñkhoñ se mal gayā huuñ maiñ
kitna aage nikal gaya hun main
gham ke sanche mein Dhal gaya hun main
jal raha tha makan us ka magar
main ye samjha ki jal gaya hun main
aap apne pe paD gai jo nazar
KHud hi hans kar bahal gaya hun main
wo ki mahlon mein be-qarar raha
dasht-o-sahra mein pal gaya hun main
chalte chalte wafa ki rahon mein
girte girte sanbhal gaya hun main
garmi-e-zist jab baDhi 'saifi'
barf jaisa pighal gaya hun main
KHak-pa-e-rasul ai 'saifi'
apni aankhon se mal gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.