kitna ajib shahr-e-tamanna dikhai de
kitnā ajiib shahr-e-tamannā dikhā.ī de
hai itnī raushnī ki añdherā dikhā.ī de
ta.abīr kis se pūchhiye us ḳhvāb-e-shauq kī
jo ḳhvāb dekhiye to adhūrā dikhā.ī de
ab aam ho chalī hai yahī rasm-e-zindagī
har shaḳhs apne dard kā maarā dikhā.ī de
ubhre mire darīcha-e-dil se vo chāñd jab
sūraj bhī sāmne ho to Dhaltā dikhā.ī de
is shahr-e-ārzū meñ ajab ḳhush-nazar haiñ log
baḳhshe jo dil ko dard masīhā dikhā.ī de
jis anjuman meñ sab kī nazar ho tirī taraf
us anjuman meñ kaun kisī kā dikhā.ī de
kitnī ajiib choT hai ye dil kī choT bhī
bharne lage jo zaḳhm vo gahrā dikhā.ī de
tujh se alag nahīñ hai koī rang-e-dil-kashī
har rang tere rang meñ Dhaltā dikhā.ī de
dil meñ na ho jo dāġh-e-tamannā kī raushnī
ai 'badr' zindagī meñ añdherā dikhā.ī de
kitna ajib shahr-e-tamanna dikhai de
hai itni raushni ki andhera dikhai de
tabir kis se puchhiye us KHwab-e-shauq ki
jo KHwab dekhiye to adhura dikhai de
ab aam ho chali hai yahi rasm-e-zindagi
har shaKHs apne dard ka mara dikhai de
ubhre mere daricha-e-dil se wo chand jab
suraj bhi samne ho to Dhalta dikhai de
is shahr-e-arzu mein ajab KHush-nazar hain log
baKHshe jo dil ko dard masiha dikhai de
jis anjuman mein sab ki nazar ho teri taraf
us anjuman mein kaun kisi ka dikhai de
kitni ajib choT hai ye dil ki choT bhi
bharne lage jo zaKHm wo gahra dikhai de
tujh se alag nahin hai koi rang-e-dil-kashi
har rang tere rang mein Dhalta dikhai de
dil mein na ho jo dagh-e-tamanna ki raushni
ai 'badr' zindagi mein andhera dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.