kitna ba-zarf hai wo mere barabar wala
kitnā bā-zarf hai vo mere barābar vaalā
ḳhushk āñkhoñ ko diyā ġham to samundar vaalā
bāġhbānī meñ kaTī umr to saarī lekin
phuul ab tak na khilā apne muqaddar vaalā
ḳhvāb kī vahshateñ qaa.em rahīñ shab bhar mujh par
dar pe detā hī rahā dastakeñ bāhar vaalā
hijr aaseb hai aaseb bhī aisā sāhab
hausla haar gayā maiñ bhī sikandar vaalā
ham manāeñge nayā saal tirī yaad ke saath
zaḳhm is baar harā hogā december vaalā
qahqahoñ se to zamāna huā mahrūm haiñ lab
aur fasāne meñ mirā rol hai joker vaalā
toḌe jā.eñge sitam tere tujhī par 'āfāq'
ik tamāsha to abhī aur hai mahshar vaalā
kitna ba-zarf hai wo mere barabar wala
KHushk aankhon ko diya gham to samundar wala
baghbani mein kaTi umr to sari lekin
phul ab tak na khila apne muqaddar wala
KHwab ki wahshaten qaem rahin shab bhar mujh par
dar pe deta hi raha dastaken bahar wala
hijr aaseb hai aaseb bhi aisa sahab
hausla haar gaya main bhi sikandar wala
hum manaenge naya sal teri yaad ke sath
zaKHm is bar hara hoga december wala
qahqahon se to zamana hua mahrum hain lab
aur fasane mein mera rol hai joker wala
toDe jaenge sitam tere tujhi par 'afaq'
ek tamasha to abhi aur hai mahshar wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.