kitna bechain hai KHamosh samundar dekho
kitnā bechain hai ḳhāmosh samundar dekho
dil kī gahrā.ī meñ ik roz utar kar dekho
qatl ho jā.egā sūraj to lahū hogī sahar
dekhnā hai to abhī sub.h kā manzar dekho
rāz-dar-rāz hai alfāz kī gahrā.ī meñ
mere chehre pe jo tahrīr hai paḌh kar dekho
ḳhāmushī guuñj bhī hai chīḳh bhī hai naġhma bhī
tum kisī peḌ ko nazdīk se chhū kar dekho
kaise patthar kā jigar chiir ke uThtī hai hayāt
kisī chaTTān tale biij dabā kar dekho
yuuñ to chehre pe sajā rakkhī hai ik bazm-e-tarab
kitne maqtal haiñ mire siine ke andar dekho
kitnī dilkash hai dil-afroz hai duniyā-e-danī
apnī āñkhoñ se zarā haath haTā kar dekho
is ‘aqīde ne liyā qaisar-o-kisrā se ḳhirāj
maut kā vaqt azal se hai muqarrar dekho
tā-ba-kai shaukat-e-ajdād pe ye nāz-o-ġhurūr
ḳhvāb-e-ġhaflat se uTho vaqt ke tevar dekho
āsmāñ chiir ke jā.egā sitāroñ se pare
tum bhī ik baar chalā kar zarā patthar dekho
maar Dālegī galā ghoñT ke sadiyoñ kī ghuTan
khiḌkiyāñ khol do kuchh der to bāhar dekho
dekh lenā pas-e-qātil bhī koī hogā zarūr
sirf qātil hī chalātā nahīñ ḳhanjar dekho
saḳht se saḳht huā jaatā hai chehra us kā
zindagī kā ye badaltā huā paikar dekho
kitna bechain hai KHamosh samundar dekho
dil ki gahrai mein ek roz utar kar dekho
qatl ho jaega suraj to lahu hogi sahar
dekhna hai to abhi subh ka manzar dekho
raaz-dar-raaz hai alfaz ki gahrai mein
mere chehre pe jo tahrir hai paDh kar dekho
KHamushi gunj bhi hai chiKH bhi hai naghma bhi
tum kisi peD ko nazdik se chhu kar dekho
kaise patthar ka jigar chir ke uThti hai hayat
kisi chaTTan tale bij daba kar dekho
yun to chehre pe saja rakkhi hai ek bazm-e-tarab
kitne maqtal hain mere sine ke andar dekho
kitni dilkash hai dil-afroz hai duniya-e-dani
apni aankhon se zara hath haTa kar dekho
is ‘aqide ne liya qaisar-o-kisra se KHiraj
maut ka waqt azal se hai muqarrar dekho
ta-ba-kai shaukat-e-ajdad pe ye naz-o-ghurur
KHwab-e-ghaflat se uTho waqt ke tewar dekho
aasman chir ke jaega sitaron se pare
tum bhi ek bar chala kar zara patthar dekho
mar Dalegi gala ghonT ke sadiyon ki ghuTan
khiDkiyan khol do kuchh der to bahar dekho
dekh lena pas-e-qatil bhi koi hoga zarur
sirf qatil hi chalata nahin KHanjar dekho
saKHt se saKHt hua jata hai chehra us ka
zindagi ka ye badalta hua paikar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.