kitna bhi muskuraiye dil hai magar bujha bujha
kitnā bhī muskurā.iye dil hai magar bujhā bujhā
giit rasīle gā.iye dil hai magar bujhā bujhā
ashk nahīñ to kyā huā aah nahīñ to kyā huā
laakh sañvar ke aa.iye dil hai magar bujhā bujhā
ruḳh pe bahār kī phaban hoñToñ pe maḳhmalī suḳhan
muzhda-e-gul sunā.iye dil hai magar bujhā bujhā
aap se ḳhud alag alag aap kī dāvat-e-tarab
ham se na kuchh chhupā.iye dil hai magar bujhā bujhā
jannat-e-naġhma-o-ġhazal mahfil-e-soz-o-sāz-e-ishq
'tāhira' kyā batā.iye dil hai magar bujhā bujhā
kitna bhi muskuraiye dil hai magar bujha bujha
git rasile gaiye dil hai magar bujha bujha
ashk nahin to kya hua aah nahin to kya hua
lakh sanwar ke aaiye dil hai magar bujha bujha
ruKH pe bahaar ki phaban honTon pe maKHmali suKHan
muzhda-e-gul sunaiye dil hai magar bujha bujha
aap se KHud alag alag aap ki dawat-e-tarab
hum se na kuchh chhupaiye dil hai magar bujha bujha
jannat-e-naghma-o-ghazal mahfil-e-soz-o-saz-e-ishq
'tahira' kya bataiye dil hai magar bujha bujha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.