kitna dilkash nazar aata hai ye manzar dekho
kitnā dilkash nazar aatā hai ye manzar dekho
dauḌe aate haiñ bayābān meñ lashkar dekho
tum ko dikhtā hai faqat merā tabassum jānāñ
haal kyā hai ye kabhī jhāñk ke andar dekho
zaḳhm detā hai to kartā hai pazīrā.ī bhī
kitnā ma.asūm sarāpā hai sitamgar dekho
ek muddat se rahā karte haiñ in āñkhoñ meñ
mutma.in ho to kabhī dil meñ utar kar dekho
tum miyāñ DhūñDte phirte ho sukūñ duniyā meñ
ik dafa yaar to sajde meñ bhī gir kar dekho
kitna dilkash nazar aata hai ye manzar dekho
dauDe aate hain bayaban mein lashkar dekho
tum ko dikhta hai faqat mera tabassum jaanan
haal kya hai ye kabhi jhank ke andar dekho
zaKHm deta hai to karta hai pazirai bhi
kitna masum sarapa hai sitamgar dekho
ek muddat se raha karte hain in aankhon mein
mutmain ho to kabhi dil mein utar kar dekho
tum miyan DhunDte phirte ho sukun duniya mein
ek dafa yar to sajde mein bhi gir kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.