kitna lamba tera safar dariya
kitnā lambā tirā safar dariyā
is ko kar thoḌā muḳhtasar dariyā
is zamīñ par hai be-gharī qismat
mar ke ban jaa.e apnā ghar dariyā
mil gayā jā ke ab samundar se
vaah tū ho gayā amar dariyā
bāñdh kar bañdh tujh ko rok liyā
ma.arka ho gayā hai sar dariyā
beach apne jo ho ga.ī haa.il
is bulandī se ab utar dariyā
terā sailāb sañg-dil hai bahut
is ghamanDī ke par katar dariyā
kuchh nasheb-o-farāz lāzim haiñ
sīdhe sīdhe na kar safar dariyā
chashm-e-'āqib' meñ aa ke Thahr zarā
yuuñ na phir ab bhī dar-ba-dar dariyā
kitna lamba tera safar dariya
is ko kar thoDa muKHtasar dariya
is zamin par hai be-ghari qismat
mar ke ban jae apna ghar dariya
mil gaya ja ke ab samundar se
wah tu ho gaya amar dariya
bandh kar bandh tujh ko rok liya
marka ho gaya hai sar dariya
beach apne jo ho gai hail
is bulandi se ab utar dariya
tera sailab sang-dil hai bahut
is ghamanDi ke par katar dariya
kuchh nasheb-o-faraaz lazim hain
sidhe sidhe na kar safar dariya
chashm-e-'aqib' mein aa ke Thahr zara
yun na phir ab bhi dar-ba-dar dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.