kitna pur-soz hai ye nala-e-shab-gir mera
kitnā pur-soz hai ye nāla-e-shab-gīr mirā
yaas se takte haiñ muñh halqa-e-zanjīr mirā
khīñch ke lā.egā manzil ko mire qadmoñ tak
rāsta roke hai jo halqa-e-zanjīr mirā
merī taqdīr hai poshīda jabīñ meñ jaise
ḳhvāb bhī rahtā hai dar-parda-e-tābīr mirā
apnī qismat ke nasheman ko jalā do sāġhar
chīḳhtā phirtā hai ye shola-e-tadbīr mirā
kitna pur-soz hai ye nala-e-shab-gir mera
yas se takte hain munh halqa-e-zanjir mera
khinch ke laega manzil ko mere qadmon tak
rasta roke hai jo halqa-e-zanjir mera
meri taqdir hai poshida jabin mein jaise
KHwab bhi rahta hai dar-parda-e-tabir mera
apni qismat ke nasheman ko jala do saghar
chiKHta phirta hai ye shola-e-tadbir mera
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 478)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.