kitna udas udas ye daur-e-hayat hai
kitnā udaas udaas ye daur-e-hayāt hai
insāñ kī zindagī nahīñ jangal kī raat hai
jab chhiḌ ga.ī ġhazal tirī āñkheñ chamak uThīñ
āvāz merī jaise tire dil kī baat hai
Dhaltī hai terī yaad kī shabnam se gard-e-ġham
dushvār varna kitnī ye rāh-e-hayāt hai
chhoḌā na terī yaad ne ik lamha dil kā saath
ham tujh se be-ḳhabar rahe ye aur baat hai
ai kaash tum bhī aise meñ hote mire qarīb
bhīgī huī sharāb meñ sāvan kī raat hai
tum bhī vahī ho maiñ bhī vahī huuñ phir aaj kyuuñ
vo pursish-e-karam hai na vo iltifāt hai
apnī tabāhiyoñ kā gilā kis se ham kareñ
duniyā ke saath saath tumhārā bhī haat hai
dil un kī bazm-e-nāz meñ tasvīr ban na jaa.e
kahnī kisī se aaj mujhe ek baat hai
kyuuñ kar asar kare na mirā sher ai 'shahāb'
mere dil-e-shikasta kī ye vārdāt hai
kitna udas udas ye daur-e-hayat hai
insan ki zindagi nahin jangal ki raat hai
jab chhiD gai ghazal teri aankhen chamak uThin
aawaz meri jaise tere dil ki baat hai
Dhalti hai teri yaad ki shabnam se gard-e-gham
dushwar warna kitni ye rah-e-hayat hai
chhoDa na teri yaad ne ek lamha dil ka sath
hum tujh se be-KHabar rahe ye aur baat hai
ai kash tum bhi aise mein hote mere qarib
bhigi hui sharab mein sawan ki raat hai
tum bhi wahi ho main bhi wahi hun phir aaj kyun
wo pursish-e-karam hai na wo iltifat hai
apni tabahiyon ka gila kis se hum karen
duniya ke sath sath tumhaara bhi hat hai
dil un ki bazm-e-naz mein taswir ban na jae
kahni kisi se aaj mujhe ek baat hai
kyun kar asar kare na mera sher ai 'shahab'
mere dil-e-shikasta ki ye wardat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.