kitne aasan raste hote
kitne āsān rāste hote
ham agar saath chal rahe hote
hotī ūñchī uḌaan apnī bhī
par agar yuuñ na kaT ga.e hote
ḳhud se fursat hameñ agar miltī
aap kā saath de rahe hote
baat to kar ke dekhte bāham
phir jo hote so faisle hote
baat karte agar sitāroñ se
shab ke ham-rāh ratjage hote
aarzū thī ki ishq meñ 'shabnam'
dil ke dhāge kahīñ bañdhe hote
kitne aasan raste hote
hum agar sath chal rahe hote
hoti unchi uDan apni bhi
par agar yun na kaT gae hote
KHud se fursat hamein agar milti
aap ka sath de rahe hote
baat to kar ke dekhte baham
phir jo hote so faisle hote
baat karte agar sitaron se
shab ke ham-rah ratjage hote
aarzu thi ki ishq mein 'shabnam'
dil ke dhage kahin bandhe hote
- Book : Musaafat Raigaan Thi (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.