kitne aazar muqaddar se lage rahte hain
kitne āzār muqaddar se lage rahte haiñ
tere bīmār to bistar se lage rahte haiñ
kabhī tujh bālā-nashīñ ko bhī ḳhabar pahuñchegī
kitne sar haiñ jo tire dar se lage rahte haiñ
shaam hotī hai to kaam aur bhī baḌh jaatā hai
an-ginat yādoñ ke daftar se lage rahte haiñ
terī furqat meñ kise jāda-o-manzil kā dimāġh
ġham ke maare kisī patthar se lage rahte haiñ
ham bhulā deñge zamāne kā chalan bhī lekin
shīsha-e-dil pe jo patthar se lage rahte haiñ
aaj bhī kūcha-e-jānāñ kī vahī raunaq hai
ab bhī kuchh log barābar se lage rahte haiñ
kitne aazar muqaddar se lage rahte hain
tere bimar to bistar se lage rahte hain
kabhi tujh baala-nashin ko bhi KHabar pahunchegi
kitne sar hain jo tere dar se lage rahte hain
sham hoti hai to kaam aur bhi baDh jata hai
an-ginat yaadon ke daftar se lage rahte hain
teri furqat mein kise jada-o-manzil ka dimagh
gham ke mare kisi patthar se lage rahte hain
hum bhula denge zamane ka chalan bhi lekin
shisha-e-dil pe jo patthar se lage rahte hain
aaj bhi kucha-e-jaanan ki wahi raunaq hai
ab bhi kuchh log barabar se lage rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.