kitne arman pighal ke aate hain
kitne armāñ pighal ke aate haiñ
log chehre badal ke aate haiñ
ab mire dost bhī raqīboñ se
jab bhī aate sañbhal ke aate haiñ
jab koī taaza choT lagtī hai
mere aañsū machal ke aate haiñ
āj-kal raat aur din mere
terī yādoñ meñ Dhal ke aate haiñ
dil meñ jab Tiis uThtī hai koī
chand misre ġhazal ke aate haiñ
muddatoñ intizār thā jin kā
merī mayyat pe chal ke aate haiñ
kitne arman pighal ke aate hain
log chehre badal ke aate hain
ab mere dost bhi raqibon se
jab bhi aate sanbhal ke aate hain
jab koi taza choT lagti hai
mere aansu machal ke aate hain
aaj-kal raat aur din mere
teri yaadon mein Dhal ke aate hain
dil mein jab Tis uThti hai koi
chand misre ghazal ke aate hain
muddaton intizar tha jin ka
meri mayyat pe chal ke aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.