kitne asrar wahime mein hain
kitne asrār vāhime meñ haiñ
ham ki masrūf khojne meñ haiñ
ham-safar lā-makān ko pahuñchā
aur ham pahle marhale meñ haiñ
to abhī tak dikhā nahīñ hai hameñ
ham abhī tak murāqabe meñ haiñ
ye jo khiḌkī ke paar manzar hai
mas.ala us ko dekhne meñ haiñ
apnī apnī hī fikr hai sab ko
apne apne hī dā.ere meñ haiñ
vā.izā intizār kar thoḌā
shaiḳh-sāhib to mai-kade meñ haiñ
ye ḳhirad ko shikast deñge miyāñ
ye to majnūñ ke qāfile meñ haiñ
bhed jitne haiñ kā.enāt andar
ek nuqte ke silsile meñ haiñ
kitne asrar wahime mein hain
hum ki masruf khojne mein hain
ham-safar la-makan ko pahuncha
aur hum pahle marhale mein hain
to abhi tak dikha nahin hai hamein
hum abhi tak muraqabe mein hain
ye jo khiDki ke par manzar hai
masala us ko dekhne mein hain
apni apni hi fikr hai sab ko
apne apne hi daere mein hain
waiza intizar kar thoDa
shaiKH-sahib to mai-kade mein hain
ye KHirad ko shikast denge miyan
ye to majnun ke qafile mein hain
bhed jitne hain kaenat andar
ek nuqte ke silsile mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.