kitne barse nagar nagar patthar
kitne barse nagar nagar patthar
hausle kar na paa.e sar patthar
jo nishāñ-zad hue haiñ apne liye
vo to sab ā.eñge idhar patthar
baat kah dī thī ik ḳhudā-lagtī
merī samt aa.e kis qadar patthar
dekh mahñgī paḌegī man-mānī
bāñdhne hoñge peT par patthar
kis ne kīchaḌ meñ sañg maarā hai
paḌ ga.e kis kī fahm par patthar
soch ke kar kisī pe sañg-zanī
aa bhī sakte haiñ lauT kar patthar
sab pe hasrat kī ik nazar karke
ho ga.ī ek chashm-e-tar patthar
adl un kā 'na.īm' kyā kahnā
phuul apnī taraf idhar pathar
kitne barse nagar nagar patthar
hausle kar na pae sar patthar
jo nishan-zad hue hain apne liye
wo to sab aaenge idhar patthar
baat kah di thi ek KHuda-lagti
meri samt aae kis qadar patthar
dekh mahngi paDegi man-mani
bandhne honge peT par patthar
kis ne kichaD mein sang mara hai
paD gae kis ki fahm par patthar
soch ke kar kisi pe sang-zani
aa bhi sakte hain lauT kar patthar
sab pe hasrat ki ek nazar karke
ho gai ek chashm-e-tar patthar
adl un ka 'naim' kya kahna
phul apni taraf idhar pathar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.