kitne din baad phir aaj un se mulaqat hui
kitne din ba.ad phir aaj un se mulāqāt huī
ruk gayā vaqt daraḳhshanda mirī raat huī
phir nigāhoñ ne nigāhoñ se sunā qissa-e-shauq
phir ishāroñ hī ishāroñ meñ har ik baat huī
chalte chalte unheñ dekhā thā sar-e-rāh kahīñ
aarzū un kī usī din se mire saat huī
kaun kahtā hai maiñ sahrā meñ huuñ maiñ tishna huuñ
ḳhūn-e-dil roz bahā roz hī barsāt huī
dar-e-mai-ḳhāna pe āsūda-e-rāhat huuñ 'ḳhalish'
ḳhatm ab mere liye gardish-e-hālāt huī
kitne din baad phir aaj un se mulaqat hui
ruk gaya waqt daraKHshanda meri raat hui
phir nigahon ne nigahon se suna qissa-e-shauq
phir ishaaron hi ishaaron mein har ek baat hui
chalte chalte unhen dekha tha sar-e-rah kahin
aarzu un ki usi din se mere sat hui
kaun kahta hai main sahra mein hun main tishna hun
KHun-e-dil roz baha roz hi barsat hui
dar-e-mai-KHana pe aasuda-e-rahat hun 'KHalish'
KHatm ab mere liye gardish-e-haalat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.