kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae
kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae
Khurshid Ahmad Jami
MORE BYKhurshid Ahmad Jami
kitne hī fasāne yaad aa.e kitne hī sahāre yaad aa.e
tūfān ne bāñheñ phailā diiñ jis vaqt kināre yaad aa.e
dīvār se lag kar sochoñ kī ummīd kā saarā din guzrā
jab raat huī to ham ko bhī sab ḳhvāb hamāre yaad aa.e
paimān-e-vafā ke siine se phir aaj lahū Tapkā 'jāmī'
jo raah meñ thak kar baiTh ga.e ahbāb vo saare yaad aa.e
kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae
tufan ne banhen phaila din jis waqt kinare yaad aae
diwar se lag kar sochon ki ummid ka sara din guzra
jab raat hui to hum ko bhi sab KHwab hamare yaad aae
paiman-e-wafa ke sine se phir aaj lahu Tapka 'jami'
jo rah mein thak kar baiTh gae ahbab wo sare yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.