kitne hi log dil talak aa kar guzar gae
kitne hī log dil talak aa kar guzar ga.e
ham apnī laash aap uThā kar guzar ga.e
vo yūrish-e-alam thī ki terī galī se ham
tujh ko bhī apne jī se bhulā kar guzar ga.e
ahl-e-ḳhirad fasānoñ ke unvāñ bane rahe
ahl-e-junūñ fasāne sunā kar guzar ga.e
is ehtiyāt-e-dard kī vahshat ki ham kabhī
ḳhud ko tirī nazar se chhupā kar guzar ga.e
tū hī milā na ham hī mile apne aap ko
saa.e se darmiyān meñ aa kar guzar ga.e
ab to batāo ham ko kahāñ jāoge 'matīn'
vo kaun the jo aag lagā kar guzar ga.e
kitne hi log dil talak aa kar guzar gae
hum apni lash aap uTha kar guzar gae
wo yurish-e-alam thi ki teri gali se hum
tujh ko bhi apne ji se bhula kar guzar gae
ahl-e-KHirad fasanon ke unwan bane rahe
ahl-e-junun fasane suna kar guzar gae
is ehtiyat-e-dard ki wahshat ki hum kabhi
KHud ko teri nazar se chhupa kar guzar gae
tu hi mila na hum hi mile apne aap ko
sae se darmiyan mein aa kar guzar gae
ab to batao hum ko kahan jaoge 'matin'
wo kaun the jo aag laga kar guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.