kitne mahan log jahan se guzar gae
kitne mahān log jahāñ se guzar ga.e
kyā chiiz haiñ ham aap ki jab vo bhī mar ga.e
ik gard uThī vabā kī chhaTī to nazar paḌī
haa.e vo aqrabā vo ahibbā kidhar ga.e
ġhairoñ ko kyā ḳhabar maze apnoñ se vasl ke
tum jaano maut is ko miyāñ ham to ghar ga.e
āḳhir khulā paḌā jo butoñ se mo.āmla
ham jī hī jī meñ ḳhush the ki lo ham sañvar ga.e
vaa.iz thā ḳhush ki kaan khaḌe va.az se hue
ghar se chale the ḳhar jo ga.e bhī to ḳhar ga.e
nazreñ nahīñ bachā.eñ to but-hā-e-marmarīñ
āñkhoñ kī raah se kahīñ dil meñ utar ga.e
ik bā-ḳhudā kī ḳhush-nazarī kaam kar ga.ī
aa.e the milne 'shāh' lagā ke nazar ga.e
kitne mahan log jahan se guzar gae
kya chiz hain hum aap ki jab wo bhi mar gae
ek gard uThi waba ki chhaTi to nazar paDi
hae wo aqraba wo ahibba kidhar gae
ghairon ko kya KHabar maze apnon se wasl ke
tum jaano maut is ko miyan hum to ghar gae
aaKHir khula paDa jo buton se moamla
hum ji hi ji mein KHush the ki lo hum sanwar gae
waiz tha KHush ki kan khaDe waz se hue
ghar se chale the KHar jo gae bhi to KHar gae
nazren nahin bachaen to but-ha-e-marmarin
aankhon ki rah se kahin dil mein utar gae
ek ba-KHuda ki KHush-nazari kaam kar gai
aae the milne 'shah' laga ke nazar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.