kitne naghmon se murassa zindagi ka saz hai
kitne naghmon se murassa zindagi ka saz hai
Sajida Khatoon Tishna
MORE BYSajida Khatoon Tishna
kitne naġhmoñ se murassā zindagī kā saaz hai
taar ik TuuTe agar to maut kā āġhāz hai
jism-e-ḳhākī meñ parinda ruuh kā pāband hai
muntashir jab hoñ anāsir ruuh ko parvāz hai
chand din par mushtamil hai zindagī insān kī
phir bhī ai nādān tujh ko is pe itnā naaz hai
gar gunah-ālūda ho jaa.e jahān-e-dil tirā
zindagī kā saaz goyā be-sadā yak saaz hai
garche barsoñ se rahī ḳhāmosh 'tashna' kī zabāñ
dil-shikasta kī magar ye dil-nashīñ āvāz hai
kitne naghmon se murassa zindagi ka saz hai
tar ek TuTe agar to maut ka aaghaz hai
jism-e-KHaki mein parinda ruh ka paband hai
muntashir jab hon anasir ruh ko parwaz hai
chand din par mushtamil hai zindagi insan ki
phir bhi ai nadan tujh ko is pe itna naz hai
gar gunah-aluda ho jae jahan-e-dil tera
zindagi ka saz goya be-sada yak saz hai
garche barson se rahi KHamosh 'tashna' ki zaban
dil-shikasta ki magar ye dil-nashin aawaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.