kitne saqi ma-e-gulfam liye phirte hain
kitne saaqī ma-e-gulfām liye phirte haiñ
aur ham haiñ ki tahī-jām liye phirte haiñ
umr guzrī ke tabassum kī tarah hoñToñ par
talḳhī-e-gardish-e-ayyām liye phirte haiñ
tazkire haiñ ye chaman meñ ki sabhī lāla-o-gul
nik.hat-e-āriz-e-gulfām liye phirte haiñ
sharm ai husn-e-jafā-pesha ki kūche meñ tire
aaj tak ham dil-e-nākām liye phirte haiñ
jaane kyā dekhā hai un shoḳh nigāhoñ meñ ki ham
apne sar muft kā ilzām liye phirte haiñ
jab se ham ne tire kūche se guzarnā chhoḌā
nāma-bar shahr meñ paiġhām liye phirte haiñ
kyā kareñge vo mirī rātoñ ko raushan 'arshad'
ruḳh pe jo zulf-e-siyah-fām liye phirte haiñ
kitne saqi ma-e-gulfam liye phirte hain
aur hum hain ki tahi-jam liye phirte hain
umr guzri ke tabassum ki tarah honTon par
talKHi-e-gardish-e-ayyam liye phirte hain
tazkire hain ye chaman mein ki sabhi lala-o-gul
nikhat-e-ariz-e-gulfam liye phirte hain
sharm ai husn-e-jafa-pesha ki kuche mein tere
aaj tak hum dil-e-nakaam liye phirte hain
jaane kya dekha hai un shoKH nigahon mein ki hum
apne sar muft ka ilzam liye phirte hain
jab se hum ne tere kuche se guzarna chhoDa
nama-bar shahr mein paigham liye phirte hain
kya karenge wo meri raaton ko raushan 'arshad'
ruKH pe jo zulf-e-siyah-fam liye phirte hain
- Book : Nagma zaad (Pg. 95)
- Author : Arshad Siddiqui
- Publication : Arshad Siddiqui (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.