kitni aasani se duniya ki girah kholta hai
kitnī āsānī se duniyā kī girah kholtā hai
mujh meñ ik bachcha buzurgoñ kī tarah boltā hai
kyā ajab hai ki uḌātā hai kabūtar pahle
phir fazāoñ meñ vo bārūd kī bū gholtā hai
ruup kitne hī bhareñ kitne hī chehre badleñ
ā.īna aap ko apnī hī tarah taultā hai
soch lo kal kahīñ aañsū na bahāne paḌ jaa.eñ
ḳhuun kā kyā hai ragoñ meñ vo yūñhī khaultā hai
haath uThātā hai duāoñ ko falak bhī us dam
jab parinda koī parvāz ko par taultā hai
kaun vāqif nahīñ sansār ke sach se lekin
sab kā sansār kī har chiiz pe man Doltā hai
kitni aasani se duniya ki girah kholta hai
mujh mein ek bachcha buzurgon ki tarah bolta hai
kya ajab hai ki uData hai kabutar pahle
phir fazaon mein wo barud ki bu gholta hai
rup kitne hi bharen kitne hi chehre badlen
aaina aap ko apni hi tarah taulta hai
soch lo kal kahin aansu na bahane paD jaen
KHun ka kya hai ragon mein wo yunhi khaulta hai
hath uThata hai duaon ko falak bhi us dam
jab parinda koi parwaz ko par taulta hai
kaun waqif nahin sansar ke sach se lekin
sab ka sansar ki har chiz pe man Dolta hai
- Book : Vajood (Pg. 6)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.