kitni ajib baat hai tere bina mujhe
kitnī 'ajīb baat hai tere binā mujhe
har chiiz lutf dene lagī hai zarā mujhe
āḳhir gunāh kar ke dikhānā paḌā mujhe
ye log to samajhne lage the ḳhudā mujhe
tere liye bhī ġhaib se aayā hai koī kyā
jo tū bhī kar rahī hai yuuñ be-āsrā mujhe
marne kī justujū to mujhe bhī nahīñ magar
zālim ne de diyā hai tirā vāsta mujhe
maiñ kauḌiyoñ ke daam pe aayā huuñ bech kar
saudā ye 'ishq kā baḌā mahñgā paḌā mujhe
kitni 'ajib baat hai tere bina mujhe
har chiz lutf dene lagi hai zara mujhe
aaKHir gunah kar ke dikhana paDa mujhe
ye log to samajhne lage the KHuda mujhe
tere liye bhi ghaib se aaya hai koi kya
jo tu bhi kar rahi hai yun be-asra mujhe
marne ki justuju to mujhe bhi nahin magar
zalim ne de diya hai tera wasta mujhe
main kauDiyon ke dam pe aaya hun bech kar
sauda ye 'ishq ka baDa mahnga paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.