Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni bar bataun tujhko kaisa lagta hai

Navin C. Chaturvedi

kitni bar bataun tujhko kaisa lagta hai

Navin C. Chaturvedi

MORE BYNavin C. Chaturvedi

    kitnī baar batā.ūñ tujh ko kaisā lagtā hai

    tujh se milnā bāteñ karnā achchhā lagtā hai

    nthunī se uupar palkoñ se nīche ghūñghaT rakh

    mujh ko aadhā chāñd bahut pyārā lagtā hai

    sadiyoñ se hai yuuñ tar-o-tāza aur ḳhushbū-dār

    kaise kah duuñ ishq gulāboñ jaisā lagtā hai

    aañsū qatra khārā hotā hai lekin

    tujh ko dekh kar chhalke hai to mīThā lagtā hai

    kahāñ tirā apnā-pan aur kahāñ mere ehsān

    parbat ho kar bhī merā qad baunā lagtā hai

    ab bhī dil vāloñ bazmeñ sajtī haiñ lekin

    pahle mele lagte the ab majma.a lagtā hai

    kitni bar bataun tujh ko kaisa lagta hai

    tujh se milna baaten karna achchha lagta hai

    nthuni se upar palkon se niche ghunghaT rakh

    mujh ko aadha chand bahut hi pyara lagta hai

    sadiyon se hai yun hi tar-o-taza aur KHushbu-dar

    kaise kah dun ishq gulabon jaisa lagta hai

    aansu ka qatra khaara hi hota hai lekin

    tujh ko dekh kar chhalke hai to miTha lagta hai

    kahan tera apna-pan aur kahan mere ehsan

    parbat ho kar bhi mera qad bauna lagta hai

    ab bhi dil walon ki bazmen sajti hain lekin

    pahle mele lagte the ab majma lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now