kitni be-kaif zindagi hogi
kitnī be-kaif zindagī hogī
ġham na hogā to kyā ḳhushī hogī
jab kabhī dard meñ kamī hogī
chashm-e-ehsās shabnamī hogī
maiñ na kahtā thā jazba-e-betāb
dostī terī dushmanī hogī
jhilmilā.ī kisī kī sham-e-ḳhayāl
ab añdhere meñ raushnī hogī
'ishq se husn kā baḌhegā vaqār
maut buniyād-e-zindagī hogī
kasrat-e-ġham kā kyā karūñ shikva
ye to tauhīn-e-zindagī hogī
āstāñ baḌh rahā hai sū-e-jabīñ
aaj merāj-e-bandagī hogī
jab 'hasan' rahm aa.egā un ko
dil kī duniyā badal chukī hogī
kitni be-kaif zindagi hogi
gham na hoga to kya KHushi hogi
jab kabhi dard mein kami hogi
chashm-e-ehsas shabnami hogi
main na kahta tha jazba-e-betab
dosti teri dushmani hogi
jhilmilai kisi ki sham-e-KHayal
ab andhere mein raushni hogi
'ishq se husn ka baDhega waqar
maut buniyaad-e-zindagi hogi
kasrat-e-gham ka kya karun shikwa
ye to tauhin-e-zindagi hogi
aastan baDh raha hai su-e-jabin
aaj meraj-e-bandagi hogi
jab 'hasan' rahm aaega un ko
dil ki duniya badal chuki hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.